Saturday, February 3, 2024

Dadi ❤️




जब उठेंगी हाथ, तो दिल दुआगू रहेगा,
फैलाकर झोली , रूह तड़पता रहेगा,

मेरे वजूद का ज़र्रा-ज़र्रा तुझे वापस पाने की तलब करेगा,,,

हालांकि मै गिरगिराउंगा, रोऊंगा, बिलखुंगा,

आँसुएँ बहाऊंगा, तेरी एक झलक पाने को आँखों से सैलाब बह निकलेगी,,

पर, जो मेरे दिल को पुरसुकूँ कर दे,
मेरे सारे दुःख-दर्द को छू कर दें,
अय दादी, तेरी वो आवाज़ नही होगी

जो आँगन में कदम रखते ही करता था तुझे सलाम,
दुनिया की सारी ख़ास बातें, जब हो जाती थी आम,
तेरे साथ, हँसने-बोलने का,खेलने-कूदने का,
अय दादी, वो रिवाज़ नहीं होगी ।।।
अय दादी, वो रिवाज़ नहीं होगी ।।।

~ Mubasshir (The mourning first Grandchild)

Friday, December 22, 2023

Different ways of celebrating

*Dear Brothers and Sisters in Faith ,

The western way and culture may seem so fun and exciting while we are at a young age ...we must appreciate their culture but we shouldn't try to be like them.

Going to pubs and clubs, having parties , drinking and dancing are their ways to celebrate everything ,unlike us these things are prohibited in our faith our parents who gave us life and for that we will forever be indebted to them,will never approve of this, these habits are taking us away from our "Imaan" ...we should try to refrain from them.*

Our way is staying modest and walking on the way of "siraat-ul-mustakeem", our way to celebrate is offering "Salaat" and doing "Fatiha" ...

We should take pride in them instead of accepting their way as a "Mental-Slave" they aren't better than us We are the best ...Instead of learning from them we should teach them our way ...❤️

Sunday, September 24, 2023

The pain 💔

Just the thought of  her being with someone else causes an unbearable pain...A pain  only I can feel and could never ever share with anyone ....it's indiscribable, that uneasiness, that coming short of breath, fastenning of heartbeats, rolling of tears. The misfortune doesn't even allow me to show that to her , she doesn't have a clue about me destructing myself a bit everyday ....

~Mubasshir

Monday, August 28, 2023

Good News ❤️🥀🌹

"You eat a lot of "Phuchkas" ,he shouted "and that's the reason you are not okay right now ...."

She smiled and replied "that's not the reason"

"Maybe I am the reason, I don't care for you enough, you must have been regretting your decision to marry me" he said anguishly ...

She smiled again "You are the reason , Yes and you don't care for me enough and I regret my decision to marry you , a big NO ...."

"Than what's the matter? " He exclaimed cluelessly ...

She started moving towards him and came close to him while he was sitting on the couch ...She wrapped her hands around his neck and sat on his lap,while looking into his eyes she said,"Baby, I am pregnant" and started blushing ....

The feeling he had was indescribable , he doesn't have words in his mouth ...He hugged her at first and then kissed her forehead and said , " No baby, We are Pregnant ...."

~ Mubasshir 

Sunday, August 20, 2023

SHABNAM 🥀🌹

Talab-e-sukoon lekar muddatein mai jo dar-badar phira ...

Wo raahat mujhe aaj teri aaghosh me mila ...

Gham-gheen tha ye dil na-ummeedi me kuch iss kadar ...

Teri aane se isko ab ik sahaara mila ....

Maayusi ki wo dhoop mere aks ko jhulsa rahi thi ...

Teri saayein ki thandak ne meri rooh tak ko sehla diya ....

Mera dil muddaton se roya roya phir rha tha ...

Teri pyaari meethi baaton ne mere dil ke zarre zarre ko behla diya ....

Phuloon aur bahaaron ki khusboo aaj phir se lubhaane lagi ...

SHABNAM ki bundoon ko choone ki chaahat aaj phir se dil me aane lagi ...



~ Mubasshir

Saturday, October 8, 2022

Tadap

Seh lenge ye bhi,
Rona-bilakhna to jaise ab roz ki baat ho gyi hai,
Haan, kabhi chillane ko bhi jee karta hai ,
Apna gala faar kar keh dena chahta hun saari kaaynaat se ,
Ki haan,
Hai takleef mujhe, teri har uss ada se jo mere siwa kisi aur ko teri zindagi me ahmiyat deta hai,
Hai takleef mujhe,teri har shikaayat se jiske jaawab me mai tujhe hasta dekhne ke liye kuch na kar paane ki wajah se khud ko besahara mehsoos karun,
Hai takleef mujhe, teri har aansun se jo kisi aur ke liye behti hai aur tujhe ruaasa kar jaati hai,
Hai afsosh,ki ye keh nahi sakta,
Tujhse door hone ki tasawwur tak ko mai seh nahi sakta,
Tu jo aaj hai wo kal na ho ,
Is khauff se rahta hun mai Ghamzada,
Teri saaye ki khusbu ke bagair mai zinda rah nahi sakta ...

Sunday, March 20, 2022

Khwaab ❤️

Bhool jaana ki ham kabhi mile the ...bhool jaana ki maine apne dil ke zarre-zarre par tera naam likha tha ....Bhool jaana,ki ye aashique ne teri mohabbat ke nashe me,har dahleez paar kar liya tha ...
Bhool jaana ki tere naam ka ham kalma padha karte the ...
Bhool jaana ki tere ishq me khudi ko bhula diya karte the ...
Bohot aasaan hai,bhool jaana,tere liye,ay zaalim !!!


Yaad to bas Mai rakhunga, teri har muskuraahat, teri har adaa, teri har wo masoomiyat me pucha hua  sawaal, Tere saath jo mera paak rishta tha uska har urooj wa jawaal,Us rishte ko mai ek haseen khwaab ka darza dunga....Kyun ki khwaab me khaamiyaan nahi hoti ...Khwaab apne aap me ik daastaan hota hai ...jisme koi nukhs koi ghalatiyaan nikaalna bhi chaahe inshan to mushqil hota hai...


Aye khwaab, tera jab bhi mere zehno-zehen se raabta hota hai , tu nashe ki tarah Sir par chadh jaati hai, 

Aye khwaab, Teri mohabbat ka Nasha Sach-much duniya ke sabse naseeli nasha se upar hai...

Aye khwaab, Tu behad Rangeen hai, Meri saadgi,teri wajood ke aage bohot pheeki hai ...

Aye khwaab, Har khwaab ki tarah Tujhe haqeeqat banaane ki hasrat mujhe bhi hoti hai ?

Par khwaabon ke naseeb me bas tootna likha hai ...uska haqeeqat se koi waasta nahi ...


~ Aazaad