Sunday, March 20, 2022

Khwaab ❤️

Bhool jaana ki ham kabhi mile the ...bhool jaana ki maine apne dil ke zarre-zarre par tera naam likha tha ....Bhool jaana,ki ye aashique ne teri mohabbat ke nashe me,har dahleez paar kar liya tha ...
Bhool jaana ki tere naam ka ham kalma padha karte the ...
Bhool jaana ki tere ishq me khudi ko bhula diya karte the ...
Bohot aasaan hai,bhool jaana,tere liye,ay zaalim !!!


Yaad to bas Mai rakhunga, teri har muskuraahat, teri har adaa, teri har wo masoomiyat me pucha hua  sawaal, Tere saath jo mera paak rishta tha uska har urooj wa jawaal,Us rishte ko mai ek haseen khwaab ka darza dunga....Kyun ki khwaab me khaamiyaan nahi hoti ...Khwaab apne aap me ik daastaan hota hai ...jisme koi nukhs koi ghalatiyaan nikaalna bhi chaahe inshan to mushqil hota hai...


Aye khwaab, tera jab bhi mere zehno-zehen se raabta hota hai , tu nashe ki tarah Sir par chadh jaati hai, 

Aye khwaab, Teri mohabbat ka Nasha Sach-much duniya ke sabse naseeli nasha se upar hai...

Aye khwaab, Tu behad Rangeen hai, Meri saadgi,teri wajood ke aage bohot pheeki hai ...

Aye khwaab, Har khwaab ki tarah Tujhe haqeeqat banaane ki hasrat mujhe bhi hoti hai ?

Par khwaabon ke naseeb me bas tootna likha hai ...uska haqeeqat se koi waasta nahi ...


~ Aazaad 

No comments:

Post a Comment