Sunday, October 25, 2020

Temporay Log sukh-dukh aur Zindagi



Zindagi ke aare-tirche mor par kayin temporary logon se paala parta hai,kuch khusiyan dete hai,kuch dil dukhaate hai phir end me chale jaate hai.Kuch milkar takleef dete hai,kuch bichadne par takleef dete hai.Kuch logon ke aapki zindagi me aane ka maqsad hi aapko takleef dena hota hai aur kuch log jab jaate hai zindagi se to takleef hoti hai q ye shaksh mujhse q bichad raha hai....kya haalaat kuch aur nahi ho skta.Ye soch-sochkar ham apna dil dukha lete hai jo ki bilkul ghalat hai...hame ye sochna chahiye ki wo takleef bhi to temporary hi hai bilkul un temporary logon ki tarah.Iss takleef ko bhi aana hai aur chale jaana hai .Waqt har dard ki dawa hai.

Zindagi ka falsafa bhi kuch aisa hi hai doston.Agar zindagi ek machalti hui nadi hai to sukh aur dukh iske do kinaare hai.Sukh ko bhi aana aur chale jaana hau ,dukh ko bhi aana aur chale jaana hai.Bas yaadein baaki rah jaani hai.Apni zindagi ki Kitaab me ham kin yaadon ko jagah dete hai wo sirf aur sirf ham par depend karta hai.Hamari zindagi ki meaning wo temporary log nahi tay kar skte.Unka jo part tha unhone play kiya aur chale gaye.Unki di hui takleef ko apni yaadon ke panno me jagah dena nihayat bewakoofi hai aur hame har haal me iss bewakoofi se bachne ki kosish karni chahiye.

Baaki phir kabhi.....

✍️✍️✍️

~Munna khan Ghaznawi

No comments:

Post a Comment