Wednesday, February 26, 2020

The Delhi Genocide


Dekhi khabrein to dikha dilli hai wiraan hua
Ye mera desh hai,mai dekhkar hairaan hua
Khauf-o-dard ka aalam tha wahan chautarfa
Faqat inshan hi tha aaj yun haiwaan hua
Thi jahaan saanjhi-wiraasat ka gaurav,bhaarat
Wahan aaj hindu koi aur musalmaan hua

Dekhkar wahsi-darindon ko dil yun roya
Nam aankhein hui aur hosh bhi anjaan hua
Ik fariyaad aye mehboob-watan hai tujhse
Kyun Aazaad apne mulk me mehmaan hua
Bahakar khoon,diye kayin imtehaan hamne
Phir libaashon se hi kyun mera bhi pehchaan hua


No comments:

Post a Comment